Drishti IAS Coaching !!!
News Agency ANI ke sath bat-chit kiya Drishti IAS Coaching ke malik Dr Vikash Divyakirti ne kaha ki Basement ko lekar aj-kal khub narajagi hai. Hum bhi es bat se puri tarah sahmat hai Basement ko seal kar diya jaye.
#WATCH | On Old Rajinder Nagar incident | Dr. Vikas Divyakirti, founder and MD of Drishti IAS says, "…It is a big responsibility of the coaching institutes…It is the responsibility of every institute to rectify it and I am ready to fulfill my responsibility. We will not do… pic.twitter.com/opKWhZLmWX
— ANI (@ANI) July 30, 2024
Delhi ke pramukh Drishti IAS Coaching ke malik Dr Vikash Divyakirti ne kaha old Rajendra nagar ki ghatna par kaha ki prashashan dwara basement ko seal ki jane wali karyawahi se sahamat hai.
Ek din pehele kanooni ulanghan ke karan sarkar ne Drishti IAS Coaching ka basement seal kar diya tha. Es par Dr vikash Divyakirti ne kaha ki Rajendra nagar me ek Coaching center me paani bharne se Coaching students ki maut ki ghatna se utpanna akrosh zayaj hai. Unhone adhikariyo se Coaching ke liye disha nirdesh lagu karne ki maang ki hai.
Dr Vikash Divyakirti Ne Kaha !!!
Basement ko lekar aj-kal bahoot narajagi hai. Hum bhi es baat se poori tarah sahamat hai. Ki basement ko ko poori tarah seal kar den chahiye lekin Delhi Metro basement me hi chalti hai. Palika Bazaar basement me hi hai. Delhi ke lagbhag har mall ke basement me bahoot bade shopping complex hai. Kyo ki waha basement sahi tarike se banaya gaya hai.
Main on record keh raha hun ki humne basement ka poora layout structure NOC ke liye MCD-DDA aur fire department ko saup diya hai. Aur abhi tak waha se koi rejection nahi aaya hai. Lekin eske bawjood pichhle 3 dino me jo kuchh hua use mujhe dekh kar lagta hai ki ye laparwahi thi. Humare man me kabhi ye vichaar nahi aaya aur main khule taur par keh raha hun ki agar bhavishya me hume permission mil bhi jati hai to bhi hum basement me kaam nahi karenge.
Dr Vikash Divyakirti ne kaha apko ye ashwashan deta hun ek bhi coaching basement me nahi chalna chahiye. Es se pehele Coaching ka basement seal kiya jane ke baad Monday raat badi sankhya me student ne unke ghar ke bahar jama ho kar es mamle par pratikriya dene ki mang ki thi. Dr Vikash Divyakirti ne axe par sajha kiye gaye apne bayan me kaha hume khud hai ki humne apna side rakhne me deri ki. darshal hum adhoori jankari ke adhar par kuchh nahi kehena chahate the.
Drishti IAS Coaching ke mali Dr vikash Divyakirti es deri ke liye hum kshma chahate hai. Dr Vikash Divyakirti ne aage kaha building safty norms ke mamle me jis tarah ka prayas hum karte hai mujhe yakeen hai ki aapko wo kahi aur nahi milega.
Humne 1.5 year pehele ek divisional head rank ka adhikari niyukt kiya tha jo sirf building ka safty dekhta hai. Januvary 2023 me humne whatsapp group banaya main uska member hun. Us group ka kaam hai 16 points cheak karna hai. Ki darwaze khule hai fire exit saaf hai us par koi rukawat to nahi hai. Chhat ke darwaze khule hai taaki emergency me students ko bahar nikala ja sake in 16 points ko daily cheak kiya jata hai. mai chahunga ki apko mauka mile agar ap survey kar sake Delhi ya Delhi ke kisi bahar branch me chale jayen agar kisi building me kam se kam two exit points nahi hai to mai zimmedar hun aisi building rent par nahi lete jisme fire exit na ho. Sirf itna ki kisi bhi halat me kisi baccho ya staff ki jaan se samjhauta na ho. yahi humari mansa hai. mujh se samjhne me galti ho gai main poore desh aur samaj se kshma mangta hun ki galati ho gayi future me ye galati dohrani nahi chahiye.